Thursday, February 18, 2010

wo

pehle to hume aapse
the gile shikve
aap aise kyun hai aap waise kyun hai ,
par jab jana
to laga ki kuch kahon aapse
par jab bahut kuch kah diya to laga ki
aap ki zindagi ki kavita sunu zubani aapki
fir jab apne sunana shuru kiya toh
aapko kho dene kay dar se juda huwi main aapse
teh yakeen tha ki khuda milwa denge
jab ki aapne kaha tha ki mulakat hai aakhri
tab se bas dehrati rehtei hoon aapki baatein sunayi aur sikhayi howi
dua karti hoon jahan jaise ho jiske saath ho khush raho
bas ek aas mangi hai us parwat digaar se
aakhri sans kay pehle tumse milke sukriya to ada karloon
tum aaye zindagi main ek aas ban kar
reh gaye ek sapna ban kar
bas chod diya us malik par sapna wo haqiqat bane
yah reh jaye ek aanso ban kar

MENAKA TEKWANI

No comments:

Post a Comment