Tuesday, March 16, 2010

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon, Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon.....Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hoon.....Na To Main Kisi Ka Habeeb Hoon, Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hoon......Jo Bigar Gaya Woh Naseeb Hoon, Jo Ujar Gaya Woh Dayaar Hoon......Mera Rang Roop Bigar Gaya, Mera Yaar Muhjse Bichar Gaya.....
Jo Chaman Khizaan Mein Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasl-e-Bahaar Hoon....
Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyun, Koyi Chaar Phool Charhaye Kyun.....
Koyi Aake Shama Jalaye Kyun, Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon.....Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon, Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush....
Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hoon, Main Falak Ke Dil Ka Ghubaar Hoon........ See more
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon...
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hoon.......!!!



Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon, Na Kisi Ke Dil Ka Qaraar Hoon.....Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek nek banda hu mai....Na To Main Kisi Ka Habeeb Hoon, Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hoon......Jo sawar de Woh Naseeb Hoon, Jo Ujar kay sawar Gaya Woh Dayaar Hoon......Mera Rang Roop Bigar Gaya, ran rup mai kya rakha hai , Mera Yaar Muhjse Bichar Gaya.....toh kya iswar hai dost banane ko
Jo Chaman Khizaan Mein Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasl-e-Bahaar Hoon....
Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyun, Koyi Chaar Phool Charhaye Kyun.....ham toh jiyenge dusron kay liye , koi hamare liye jiye kyun
Koyi Aake Shama Jalaye Kyun, Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon.....Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon, Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush....fir bhi hai rab mujhe se kush aur kya dekhu mai
Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hoon, Main Falak Ke Dil Ka Ghubaar Hoon......fir bhi kuch toh hun mai.. See more... See more
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hoon...
Jo Kisi Ke Kaam aa gaya wo ek aas hun mai

No comments:

Post a Comment